15/06/2016

apani notes ko online save kaise kare

hello dosto ajj aap janenge ki apani text notes ko kaha save kare. kyuki hamare pass iss internet bhari duniya me hamako email account, passwords, facebook account, linkedin account, bank detail jaisi bahot si jankari hoti hai jo hame usaki jarurat hararoj padati hai.


aesi jankari me agar koi password ya fir koi account address bhul jaye to hamare liye bahot badi musibat ho sakati hai. to aesi musibat se bachane ke liye hame koi aesi notes ki jarurat padati hai jisame ham notes likhakar online save kar sake. or hamara mobile kharab ho jaye ya fir format ho jaye to hame wo notes safely mil jaye.

to me ajj apake liye ek aesi application leke aya hu jisaki madad se ham android mobile me aesi sari notes save kar sakate hai.

jisaka nam hai ColorNote iss application ki madad se ham wo sari chije save kar sakate hai jisaki hame jarurat hoti hai.

aur sabase acchi bat to yah hai ki iss application google playstore bilkul mufft mil jati hai. aur isaki size 5mb se bhi kam hai. par usake fayade bahot hai. aur agar app blogger hai to me apako ye suggest karunga ki app iss application ko apane mobile me jarur download kar dijiye. jisame ham links, account passwords jesi bahot sari chije usame dal sakate hai.

agar apako ye post pasand ayyi to app iss post ko apane friend ke sath jarur share kijiyega. aur bahot sari tricks ke liye facebook page like kijiyega.

thanks...